Sunday, December 31, 2006

~Eid Mubarak~

Wishing all my sisters and brothers in Islam, a wonderful Eid-ul-Adha.
May this Eid be best of the days you had and may the blessings of this holy day be on you for the whole year to come. (Ameen)

Wednesday, December 27, 2006

aik din aur

haan haan lagay reho buss, storian suno sabki, help them out and hota wohi hai hameesha jo hota hai ...baad mai koi yaad bhi nahi kerta :)

Laiken still we have to do what we have to...

Tuesday, December 26, 2006

Static.

okay now i have dragged to read my old posts, which makes me feel like loads of things were goin on and haan i wrote pretty well i think, atleast mere liye coz perh ker buht kuch yaad aata hai and shaed blog isliye hi hotey hain :)

Abhi to meri life just static, na mai WOH reha hun and na KUCH AUR hosaka hun, kabhi log mujhey mulla keha kertay thay and kabhi kuch bhi nahi kehtay thaye....yani k buss younhi type banda. Khair yeh topic to mai nahi cherna abhi yeh mulla ki baat wahan say yaad aayi ka bhi dost k saath aik bhangra session hua hai :D after a long long time we kinda danced for no reason with load bhangra music on..and again it reminded me k I CANT DANCE tho i really want to :$ he was makin me real jeolous there laiken hah who cares all u need is confidence, confidence to have fun :D yeh thoery mai apni achay say azma chuka hun is bar jab behno ki shadi per Pakistan jana hua, nobody believed k he was the same tauqeer:D laiken buss kia hai, aap kero jo aap kerna chahho...:)

Haan baat horehi thi k static kinda life ki. Thiek hai phase hota hai life ka, aap ziada kuch nahi kersaktay is barey mai laiken still, mujhey buht darr lagta hai . Dar is baat ka k idleness really makes me lazy and most importantly effects my memory! lol haan hans lo sub laiken...im loosin wat i had learnt in uni all these years, i tend to loose my vocabulary,either it be urdu or english. Is baat ka inkishaaf bhi purani posts perhnay k baad huwa k buht si istilahien aisi istimaal ki hui hain maine jo mai ab nahi kerta? halaat ka asar hai ? company ka asar hai ? ya buss mai waise hi khatam horeha hun ....
Ager socha jaye to shaed i really need a point to stick now...need a proper job , or kehlein k stable life. So i can hold on to things or have worry to hold on to all that what i GOT , aagay kuch aur sochnay ki to baat hi alag hai ..Pata nahi job itni important kahan say hogyi aik dum k meri life k har hissa mutasir honay laga hai . Thiek hai shaed aisa hi hota hoga ya phir yehi mera attitude change honay wala hai ...aisa nahi hota hoga! u need to do something about it?

Acha jo bhi hai, aaj Christmas thi yahan, nothing much happened. Mujhey issey pehlay sister k paas hona chaiyeh tha Glasgow mai laiken meri ill-planning k bais aisa mumkin nahi hosaka. Umeed hai k ab Eid say pehlay wahan hounga inshAllah. Isdafa new year per london nahi jasakounga isi chakr mai . Ab sister bhi to hai na yahan, to mera kia pata kal ko kahan houn, so uske saath hi sahi Eid...:)
Kuch aur khaas serious to hai nahi likhnay ko...coz nothin serious happenin in life at all! lol or maybe im too careless to note that lol

Acha i'll try from next time to write in proper urdu, the very reason i started this part of my blog :)

Sunday, December 24, 2006

yeh log -2

hmmm YEH LOG post jo thi na kuch der pehlay likhi maine. Usper yeh hai k , well woh uska personal opinion tha and jahan tek baat thi k woh kia kerta hai woh aisa hi hai k woh uska personal fail hai, laiken he holds pretty good islamic opinion laiken zarori nahi k har koi uski poori terah apnay ooper implement kersakay, same goes with me buht kuch sochta hun kehta hun laiken sub kuch kerta nahi ya ker nahi sakta, behteri ki terf jana to aik different amr hai laiken daily routine life is bit different.

Aaj phir kafi lambi discussion hui, jisme again hudood ordinance, women rights, madrassa school system discuss huwey. Baat to buht lambi hai aur mai kuch likhna bhi nahi chahta khaas uske barey mai...so yeh post sirf is baat ki tardeed kernay k liye, jaisa k shaed last post say impression milreha tha mera us shaks k bilkul khilaaf hona to aisa hargiz nahi hai .

Subsay interesting discussion usme madrassa system per rehi, jisper Allah nai chaha to phir kabhi likhounga, aap sub k comments are more than welcome on any of these topics jo baad mai shaed proper post ki soorat ikhtayar kerlien :)

bye now

Friday, December 22, 2006

For those who havn't seen it yet :)

Okay as promised Graduation pic album is up now, though I'm still waiting for some more pictures but for the moment I think this will do.

The album is shared at http://www.byphotos.com/album/4669172

Just click the slideshow and enjoy, please do comment :)

Saturday, December 16, 2006

yeh log...

--------------------------------------------------------------------------------------------------
Its late saturday night. 2:10 mid of the night. The guy sitting next to me is chatting to his gf in denmark who is coming for xmas here! . The guy A is in his other room chatting on phone to someone...and my dost T-Pot is on phone as well downstairs.
1.------------------------------------------------------------------------------------------------

Likhna to kuch aur tha laiken yeh baat bhi maine zarori samjha likhna pehlay. Bus mujhey samajh nahi aati hamarey log hi aise kion hain. Aik terf to hum bari bari batien kertay hain...aisa hona chahiyeh waisa hona chahiyeh...Islam buht important hai, yeh western society aisi hai waisi hai..hamara culture kuch aur hai bla bla bla

Hum khud ko kion nahi dekhtay k hum khud kia kertay hain? kia naseehtien buss baqi sub k liye hoti hian. Ab jaise mere H (T-Pot) dost hain. Baqool unke kafi religious family say belong kertay hain and aik woh hi hain so zara liberal hain. Woh Hadood Ordinance k sakht mukhalif hain, k yeh log pakistan ko s**-free country banana chahtay hain and yeh sub america k kehnay per ho reha hai. Okay chalo mantay hain aap samajhtay hain k aurtoun ko itnay haqoq nahi denay chahiyeh, aaj bhi yehi baat horehi thi kehtay hain ji social haqoq honay chahiyeh..shaksi azadi honi chaiyeh laiken political azadi nahi...is baat ko mai kuch khaas samjha to nahi tha laiken farz yehi kertay hain k unka matlab hai k aurtoun ko khud k faisley kernay aur government waghera mai aanay ka haq nahi hona chaiyeh..jo k meri samajh say bahir hai k kion nahi.

Ab aap in sab batoun ka ehtaram bhi kersaktay hain k chalo someone thinks its all islamic and he strongly believes in that laiken... ab kal mujhey khench khench ker club laiker janay ki koshish horehi thi..k kal asian night thi so bari RONAQ hogi. :| ab kahan gyien parday ki woh batien? aurat ki haya and muslim ka farz? Kehta hain we wont drink nor dance buss aise hi shughal hi sahi.....mmm whats the point of clubbing then ^o) lol and dosri baat...jo k buht sakht baat hogi atleast un logo k liye jo hamarey muash'ray say juray hain: would you let your sister go clubbing late at night? not for dance with stranger neither to drink but just with friends..some halla gulla? NAHI NA? IF YES -> rest of the post is not for you :)

To standards to sub k liye brabar honay chaiyeh na, aap larkion say baat bhi kero...shughal bhi lagao fone per... aisi waisi bhi baat kerlo kabhi, laiken still call yourself consevative muslim? Ager aap kisi baat ko sahi samajhtay hain to woh sub k liye thiek honi chahiyeh na kay sirf aapke liye ya phir mardoun k liye!.

2.------------------------------------------------------------------------------------------------

Dosra topic yeh discuss horeha tha usdin k he said yaar society mai zinda bhi rehna hai. Aaj kal paisa na ho to koi nahi pochta, aapka koi mukaam nahi hota society mai, log rishtey nahi detay pehlay gher dekhtay hain paisa dekhtay hain. Chalo maan li yeh baat k buht imp hai paisa, laiken mera kehna yeh tha k subse pehlay hamie decide kerna chahiyeh k what do we want from our lives? Mai kaha k dekho koi ager Phd insaan mujhey milta hai na to mai uski buht izzat kerta hun, kion k mujhey andaza hai k woh kia cheez hai, to usne kaha haan thiek hia hum log to samajhtay hain laiken bahir society mai jao ager uske paas paisa nahi hoga to uski phd ki degree koi nahi dekhay ga. To mai yehi kehna chahta tha k kia usne jo excelence achieve ki hai woh bekaar hai? woh to apni field mai aala insaan hai na..jo jo academic ya perhay likhay log hain unko to uski qadar pata hai na, and ager woh khush hai usi mai to buss kafi nahi hai kia?

Uska kehna tha nahi..aapko aisa hona chaiyeh k sub aapki kadr kerien aur sub janay aapko. Meray khayal say to aap subko kabhi khush nahi kersaktay, aap jis field mai bhi hain..try to be best in it buss baqi khair hai .

Baat phir yehan aaker ruki k we are muslims, mera emaan agli life per hai, mujhey bataya gaya hai k yeh zindagi imtehan hai, its bound to be difficult, so log chahay jo bhi kahien jaisi nazr say bhi dekhien aapko woh kerna chahiyeh jo aap samajhtay hain thiek hai and as a muslim aapka religion aapse maangta hai...hamesha aakhrat ki tayari kero, we certainly doesnt mean k yahan ki life mai kuch na kero but i believe sub kuch saath sath hosakta hai, aap Allah ko khush rekhien woh aapke liye behter keray ga, is dunya mai kuch nahi milta to aapka emaan hona chaiyeh k next life mai milay ga? kia yehi emaan nahi hai hum sub ka? phir zamanay ki , logoun ki, society ki kia fikr ?

Laiken uska kehna tha k aap yeh batien Hazoor(S.A.W) k zamanay ki ker rehay hain, aaj ki life different hai. Haan bhi maan k different hai, aaj hamie university jana perta hai, perhna likhna perta hai aik so aik logo say milna parta hai rizq kamanay k liye, aur buht sa kuch kerna parta hai laiken basics to wohi hian na, yeh to yaad hona chaiyeh k maksad kia hai hamari is life ka? Ager aap jaan bhooj ker apnay asal maksad say hat ker sirf logo ki khatir kuch ker rehay hain to mere khayal mai woh ghalt hai.

Aaj kal logo nai apni khushi ko logo ki acceptance and unki nigah mai apni izzat say jorr dia hai. Jabkay mere hisaab say aik parhay likhay insaan k liye uski apni field mai maharat, and as a muslim, how good is he in his religion, uske apni family k saath mamlaat, wife bachay behn bhai, yeh sub uski khushi ka baais honay chaiyeh na kay society in general.

Pata nahi baat to buht lambi hai and shaed yahan likhnay so kisi ko koi faida bhi nahi hona na mai apni baat samjha sakounga laiken buss hairat hoti hai logoun per jab woh kehtay kuch hain kertay kuch hain :)
--------------------------------------------------------------------------------------------------

Thursday, December 07, 2006

picsssss



More pictures to follow soon; this is just the preview;)

grad and glad day it was :)

graduation day tha aaj phir MSc is dafa thanksfuly buht maza aaya...it was wonderful .... zehn mai kuch last yr ki memories bhi thien k wahan aisa huwa tha waisa kia tha but it was fun overall coz i think mere dost kuch ziada tha isdafa...last yr mai ziada logo konahi janta tha so itwas kinda formal laiken isdafa to buss
khair the reason im writing this over here at the moment is k mujhey phir koi yaad aaya..yani k bari ajeeb baat hai ...koi mera acha dost tha last yr..we used to talk long on fone or chat and hairat ki baat hai havnt spoken to the person since months now...so buss yehi yaad aaya k jab mai uni say wapis aareha tha raat ko ...freezing sardi thi ustime and i was waiting for bus and saw the person buss abhi yaad aaaya socha likh loun :)

Saturday, December 02, 2006

something i wanted to share:)

dosrey blog mai pehlay hi buht kuch hai socha is time yahan bhi paste kerna chahiyeh , buht funny clip hai, i recommend all of you to spare sometime to load it if you cant see in a first click, hope u enjoy

Friday, December 01, 2006

boring

aaj pata nahi kuch ziada hi bore horeha hun, bore kehun ya lazy kehun ya pata nahi, shaed mausam ka asar hai ya phir is bechaini ka sabab bhi koi anjana taluq hai kia kehun pata nahi i have tried certain things to get away frm this feeling, tried to chat to those ppl i dont really do much, specially on yahoo :) and aik dost say voice chat bhi ki kafi der and koi kaam shaam bhi nahi ker reha aise hi net surf laiken still ajeeb si feeling hai ... darasal kuch samajh nahi aarehi k aagay kia hoga, very unpredictable phase of my life, kabhi kabhi buth kuch sochnay ko hota hai and kabhi demagh bilkul hi khali rehta hai .
stupid orkut per kafi time zaya horeha hai tho communities nahi chal rehian neither do i scrap alot laiken phir bhi khair abhi soch reha hun k ama ji ko fone kerna chahiyeh laiken unko bhi kuch khaas batanay like to hai nai kuch isliye pata nahi dekhtay hain . aisa kion horeha hai :S