Saturday, December 16, 2006

yeh log...

--------------------------------------------------------------------------------------------------
Its late saturday night. 2:10 mid of the night. The guy sitting next to me is chatting to his gf in denmark who is coming for xmas here! . The guy A is in his other room chatting on phone to someone...and my dost T-Pot is on phone as well downstairs.
1.------------------------------------------------------------------------------------------------

Likhna to kuch aur tha laiken yeh baat bhi maine zarori samjha likhna pehlay. Bus mujhey samajh nahi aati hamarey log hi aise kion hain. Aik terf to hum bari bari batien kertay hain...aisa hona chahiyeh waisa hona chahiyeh...Islam buht important hai, yeh western society aisi hai waisi hai..hamara culture kuch aur hai bla bla bla

Hum khud ko kion nahi dekhtay k hum khud kia kertay hain? kia naseehtien buss baqi sub k liye hoti hian. Ab jaise mere H (T-Pot) dost hain. Baqool unke kafi religious family say belong kertay hain and aik woh hi hain so zara liberal hain. Woh Hadood Ordinance k sakht mukhalif hain, k yeh log pakistan ko s**-free country banana chahtay hain and yeh sub america k kehnay per ho reha hai. Okay chalo mantay hain aap samajhtay hain k aurtoun ko itnay haqoq nahi denay chahiyeh, aaj bhi yehi baat horehi thi kehtay hain ji social haqoq honay chahiyeh..shaksi azadi honi chaiyeh laiken political azadi nahi...is baat ko mai kuch khaas samjha to nahi tha laiken farz yehi kertay hain k unka matlab hai k aurtoun ko khud k faisley kernay aur government waghera mai aanay ka haq nahi hona chaiyeh..jo k meri samajh say bahir hai k kion nahi.

Ab aap in sab batoun ka ehtaram bhi kersaktay hain k chalo someone thinks its all islamic and he strongly believes in that laiken... ab kal mujhey khench khench ker club laiker janay ki koshish horehi thi..k kal asian night thi so bari RONAQ hogi. :| ab kahan gyien parday ki woh batien? aurat ki haya and muslim ka farz? Kehta hain we wont drink nor dance buss aise hi shughal hi sahi.....mmm whats the point of clubbing then ^o) lol and dosri baat...jo k buht sakht baat hogi atleast un logo k liye jo hamarey muash'ray say juray hain: would you let your sister go clubbing late at night? not for dance with stranger neither to drink but just with friends..some halla gulla? NAHI NA? IF YES -> rest of the post is not for you :)

To standards to sub k liye brabar honay chaiyeh na, aap larkion say baat bhi kero...shughal bhi lagao fone per... aisi waisi bhi baat kerlo kabhi, laiken still call yourself consevative muslim? Ager aap kisi baat ko sahi samajhtay hain to woh sub k liye thiek honi chahiyeh na kay sirf aapke liye ya phir mardoun k liye!.

2.------------------------------------------------------------------------------------------------

Dosra topic yeh discuss horeha tha usdin k he said yaar society mai zinda bhi rehna hai. Aaj kal paisa na ho to koi nahi pochta, aapka koi mukaam nahi hota society mai, log rishtey nahi detay pehlay gher dekhtay hain paisa dekhtay hain. Chalo maan li yeh baat k buht imp hai paisa, laiken mera kehna yeh tha k subse pehlay hamie decide kerna chahiyeh k what do we want from our lives? Mai kaha k dekho koi ager Phd insaan mujhey milta hai na to mai uski buht izzat kerta hun, kion k mujhey andaza hai k woh kia cheez hai, to usne kaha haan thiek hia hum log to samajhtay hain laiken bahir society mai jao ager uske paas paisa nahi hoga to uski phd ki degree koi nahi dekhay ga. To mai yehi kehna chahta tha k kia usne jo excelence achieve ki hai woh bekaar hai? woh to apni field mai aala insaan hai na..jo jo academic ya perhay likhay log hain unko to uski qadar pata hai na, and ager woh khush hai usi mai to buss kafi nahi hai kia?

Uska kehna tha nahi..aapko aisa hona chaiyeh k sub aapki kadr kerien aur sub janay aapko. Meray khayal say to aap subko kabhi khush nahi kersaktay, aap jis field mai bhi hain..try to be best in it buss baqi khair hai .

Baat phir yehan aaker ruki k we are muslims, mera emaan agli life per hai, mujhey bataya gaya hai k yeh zindagi imtehan hai, its bound to be difficult, so log chahay jo bhi kahien jaisi nazr say bhi dekhien aapko woh kerna chahiyeh jo aap samajhtay hain thiek hai and as a muslim aapka religion aapse maangta hai...hamesha aakhrat ki tayari kero, we certainly doesnt mean k yahan ki life mai kuch na kero but i believe sub kuch saath sath hosakta hai, aap Allah ko khush rekhien woh aapke liye behter keray ga, is dunya mai kuch nahi milta to aapka emaan hona chaiyeh k next life mai milay ga? kia yehi emaan nahi hai hum sub ka? phir zamanay ki , logoun ki, society ki kia fikr ?

Laiken uska kehna tha k aap yeh batien Hazoor(S.A.W) k zamanay ki ker rehay hain, aaj ki life different hai. Haan bhi maan k different hai, aaj hamie university jana perta hai, perhna likhna perta hai aik so aik logo say milna parta hai rizq kamanay k liye, aur buht sa kuch kerna parta hai laiken basics to wohi hian na, yeh to yaad hona chaiyeh k maksad kia hai hamari is life ka? Ager aap jaan bhooj ker apnay asal maksad say hat ker sirf logo ki khatir kuch ker rehay hain to mere khayal mai woh ghalt hai.

Aaj kal logo nai apni khushi ko logo ki acceptance and unki nigah mai apni izzat say jorr dia hai. Jabkay mere hisaab say aik parhay likhay insaan k liye uski apni field mai maharat, and as a muslim, how good is he in his religion, uske apni family k saath mamlaat, wife bachay behn bhai, yeh sub uski khushi ka baais honay chaiyeh na kay society in general.

Pata nahi baat to buht lambi hai and shaed yahan likhnay so kisi ko koi faida bhi nahi hona na mai apni baat samjha sakounga laiken buss hairat hoti hai logoun per jab woh kehtay kuch hain kertay kuch hain :)
--------------------------------------------------------------------------------------------------

4 Comments:

Blogger Mariam said...

Thank you for such a good post. Keep it up!

Sat Dec 16, 08:27:00 pm GMT+3  
Blogger Tauqeer said...

thanks:)

Mon Dec 18, 05:16:00 pm GMT+3  
Blogger Sher said...

Too much urdu for this BBCD ;)

Mon Dec 18, 09:06:00 pm GMT+3  
Blogger Tauqeer said...

haha...sorry?

Mon Dec 18, 10:46:00 pm GMT+3  

Post a Comment

<< Home