Wednesday, June 28, 2006

Halaat

Nikli mai pehn k tere payar wala chola,
Ek dehaktay, barastey, sehra mai.
Bhatakti rehi mai charoun aur,
Dil ki galion kay sairab mai.
Ik Ik jhonka nishter mehsos huwa,
Aur tu bhi to tha shamil har ki waar mai.
Chalti houn, theharti houn, sisakti houn,
Kuch bhi to nahi reha ab mere ikhtayar mai.
Kehtay thaye mujhey jo log apna,
Koi bhi to nahi paas ab in halaat mai.

Wednesday, June 21, 2006

kia pakistan mai yehi horeha hai aaj kal?


Wednesday, June 14, 2006

Haasil Ghaat

Falah, Taaluq, jazbaat, rishtay aur azaadi, meray khayal mai aaj kal is badaltay dour mai, 'its a HAPENING topic', in tamam 'terms' say ya to log rishta jor rehay hain ya tor rehay hain aur jo baqi hain woh kisi na kisi terah apnay risht0un ko, rawayaat ko, naye dour ki azaadi k saath nathi kernay per tulley huwey hain. Faisla kerna mushkil hai, buht mushkil hai, sochnay ki baat to yeh hai k aakhir kon hai jo kaamyaab hona nahi chahta? har lehaz say, har kisi ki nazar mai aap apnay aapko behtreen dekhna chahtay ho, laiken itnay sub insano mai, itni tamam sochoun mai yeh mushkil kaam hai, kis baat ko aap kaamyaabi ka 'criteria' banao. Banu Qudsia ki likhi hui kitaab, "Haasil Ghaat" perh reha houn aaj kal, achi hai buht say mazameen ko chera gaya hai, buht si batien hain, buht si naseehtien hain laiken sawaal phir yehi uthta hai k kon kehta hai jo yeh kehna chah rehi hain wohi thiek hai ?:P Khair jaisa bhi hai , 2 safhay is kitab say 'paste' ker reha hun, kuch hijoun ki ghalti zaror hai laiken umeed hai k akser urdu perhnay waley uski zehni islaah kernay k kabil houngay.

Apkay ismai kahi gayi batoun k barey mai kia khayalat hain, 'comments' mai zaror likhiye ga :D.





Thursday, June 01, 2006

sub mufadaat ki jang hai

hum roz aise logoun say miltay hain jinse milna nahi chahtey, aise log humse miltay hain jo humse milna nahi chahtay, hum woh kaam kertay hain jo kerna nahi chahtey, yeh sub kia hai ? meray khayal say to har koi apne mufaad ki khaatir jeeta hai.