Haasil Ghaat
Falah, Taaluq, jazbaat, rishtay aur azaadi, meray khayal mai aaj kal is badaltay dour mai, 'its a HAPENING topic', in tamam 'terms' say ya to log rishta jor rehay hain ya tor rehay hain aur jo baqi hain woh kisi na kisi terah apnay risht0un ko, rawayaat ko, naye dour ki azaadi k saath nathi kernay per tulley huwey hain. Faisla kerna mushkil hai, buht mushkil hai, sochnay ki baat to yeh hai k aakhir kon hai jo kaamyaab hona nahi chahta? har lehaz say, har kisi ki nazar mai aap apnay aapko behtreen dekhna chahtay ho, laiken itnay sub insano mai, itni tamam sochoun mai yeh mushkil kaam hai, kis baat ko aap kaamyaabi ka 'criteria' banao. Banu Qudsia ki likhi hui kitaab, "Haasil Ghaat" perh reha houn aaj kal, achi hai buht say mazameen ko chera gaya hai, buht si batien hain, buht si naseehtien hain laiken sawaal phir yehi uthta hai k kon kehta hai jo yeh kehna chah rehi hain wohi thiek hai ?:P Khair jaisa bhi hai , 2 safhay is kitab say 'paste' ker reha hun, kuch hijoun ki ghalti zaror hai laiken umeed hai k akser urdu perhnay waley uski zehni islaah kernay k kabil houngay.
Apkay ismai kahi gayi batoun k barey mai kia khayalat hain, 'comments' mai zaror likhiye ga :D.
Apkay ismai kahi gayi batoun k barey mai kia khayalat hain, 'comments' mai zaror likhiye ga :D.
6 Comments:
1st of all jab aap kisi ko parhte ho tu neutral ho ke parhna chahye zarori nahi keh likhna wala sahi hi keh raha ho. parhne k baad apne tajarbat samne rakhte hue conclusion nikalo, no one is always right!
2nd thing is can u explain kamyab insan kon hota hai?
Mera to ek hi rona hai: Amreeca mein azaadi ghaliban #1 priority nahin rahi. Bush nay amreeci public (jis mein zahir hai Bush ke opponents bhi shamil hain aur khood ye nacheez bhi) ki conversations unlawfully tape kerwayi hain, majaal hai jo kisi nay koi action lia ho ke hamari azaadi silb ki gai hai? :|
Exams ho gayay? :O
1. Naema: Yehi to maine sawal uthaya hai, k kamyabi kahien to kisko kahien? kiski baat mani jaye? mazhab ki kamyabi ki zamanat samjha jaye ya muashi aur iqtisaadi taraki ko kamyabi ka mayaar samjha jaye?
2. Mariam ji mujhey aapki baat say itifaaq nahi hai, mera zati khayal hai k rayasat ko yeh haq haasil hai k woh logoun ki so called private life mai kisi had tek dakhal andazi kersakay, woh isliye k baqi tamam logoun ki zindagi ko pur aman banaya jasakay ( jaise k terrorist ko trace kernay k liye etc etc), isper waise alag sa likha jasakta hai, btw when is your blog coming back?
kisi had tak yeh sari terms interrelated hai,,but azadi,,kabhi kabhi tu aisa lagta hai is dunya mein azadi mumkin he nahin,,wese bhe zindagi imtehan hai ,,tu phir imtehan main azadi kaise,,,jahan tak kamyabi ke baat hai,,,psychology kehti hai self-actualize person is sucessful,,lakin merey nazdeeq kamyaabi,,deen aur dunya dono ko balance kerna hai,,kaheen aik thin line hai between the two,,lakin us pe chalna aisa he hai jaisa do dhari talwar pe chalna,,,,,
wese yeh jo zindagi ka falsafa ha na is mein sirf sawaal he sawaal hai,,,jawaab,,kahin kahin he paye jatey hain,,,
mein khud bano qudsia ko pasand kerte hoo as a writer,,but sometimes she is very confusing in her stories ,,,,
I was reading an old Time magazine & came across a quotation by Benjamin Franklin: "Those who would give up essential liberty for a little temporary safety deserve neither liberty nor safety."
I will e-mail you when I start a new blog.
Post a Comment
<< Home