Tuesday, January 23, 2007

shush

Aaj kal to mai soch reha hun k bolna bilkul hi band kerdoun. Batien kerna, chat kerna, discussion kerna. Bari ajeeb si baat hai k koi meri baat manta hi nahi :'( , chahay baat politics ki ho, society ki, religion ki ya phir just choti moti relationships ki.
Bari ajeeb baat hai waise, isliye mai ziada chup rehna hi munasib samajhta houn. Kion k baat ko barhaogay to akser aisa hota hai k muta'zaad raa'yay rakhnay walo ko ziada qurbat naseeb nahi hoti. to isliye hopefuly only for time being :-#

Saturday, January 13, 2007

Khush Kismet.

Jee to aaj ka mo'zo hum khush kismati rekhtay hain. Yehan yeh batana lazim hai k aaj kal mai aik kitaab ka muta'la ker reha hun, jo kay Wasif Ali Wasif nai Dil darya samandar k naam say likhi hai, Khush kismati usi kitaab say lia gaya aik mo'zo hai.

Likhnay say pehlay mujhey kuch khayal aaya k aaj kal buht say log mujhsey sawal kertay hain k tum kion likhtay ho? Hum likhien to aakhir kia likhien?, kiske liye likhien?, kion-ker likhien. To mai yehi kehunga k likhna to insani jazbay ka izhaar hai. Dunya mai aisa koi shaks nahi jiski koi ra'ye na ho aur jahan per ra'ye hoti hai wahien per ikhtalaf-e-ra'ye bhi janam leta hai. To insani shaksiyat ki taraqi k liye yeh lazim amer hai k uski apni ra'ye ka aik muqaam ho, uski pukhtagi qay'em ki jaye, aur koi bhi ra'ye ki pukhtagi tab tek nahi jaanchi jasakti jab tek uska taqabli jaiza uski ikhtilaf-e-ra'ye say na kerlia jaye. Jahan tek mai samajhta hun, usko jan'nay kay liye expression zarori hai, apni ra'ye ka izhar, apni soch apnay khayalat ko bayan kernay k baad hi aap uska taqabli jaiza kernay ki salahiat pa saktay hain. Apnay ander ki awaz ko dabana sareehan ghalt hai, kion k awaz to aik fitri jazba hai, har terf awaz hi to hai, hum rahat-e sakoo'n k liye subha subha chehal qadmi ko niklien to chiryou'n ki chircharahat bhi to aik awaz hai, pani k kinaray bethay dobtay sooraj ka nazara kerien to lehroun ki awaz hamie sakoon deti hai, hamie koi apna pukarey to woh bhi aik awaz hai, awaz chahay dil ki ho ya zubaan ki, usko roka nahi jasakta. Awaz ka rishta hamaray saath hameesha say jurra hai, jaise k hamari soch.

To baat horehi thi k aakhir khush kismat kon? Hamaray zamanay mai, khaas kar aaj kal k dur mai bari afsurdagi kay saath yeh kehna perta hai k log us shaks ko khush kismat jantay hain jo dunya'wi haisiat mai unsay bartar hai. Hum kehtay hain k flaa'n shaks ko dekho, uske pass gari hai, achi naukri hai, khoobsorat biwi hai, banglay jaisa gher hai, -dekho kitna khush naseeb shaks hai !, jabkay Wasif ali wasif nai apni kitaab mai buht hi khobsorat baat ki, keh Khush kismat to woh hai jo apni kismet per khush ho, hum ager aaj in fani chezoun ki haisiat ko aik lamhay k liye bhool jayien to khush kismati ka raaz samajh mai aasakta hai. Jo kuch bhi kismet mai ho, usper khush rehna hi subsay bari khush kismati hai. Aur haan khush kismati aam tor per sirf kuch logou k liye bayan ki jati hai, to yakeen janiye khush kismati ka yeh falsafa bhi kuch hi log jaan patay hain. Khush kismati kabhi mehnat k beghair haasil nahi hoti jaisa k aksar socha jata hai. Uske liye marahil say guzarna parta hai, kabhi to aapko apnay nafs say jang kerna parti hai to kabhi rizq-e-halal k liye zamanay say. To yahan justujoo aur mehnat ki ehmiat ka ehsas hota hai .

Hamaray liye paighambaro'n (Prophets) say ziada to koi khush kismet nahi. To ager kareeb say dekha jaye to koi bhi aisa paighambar nahi jiski zindagi asaani say kati ho. Aik Allah k banday nai apnay betay ko khud dobtay huwey dekha, aur Allah say il'tija ki keh Ya merey Maula, merey betay ko bacha lai, to jawab aaya k jo beta teray aqeeday ko sahi nahi janchta, usko doob janay day. Aik paighambar ko saleeb (cross) per charha dia jata hai aur hamarey subsey mehboob shakseeyat Hazoor (S.A.W) per pathroun ki barish ki jati hai laiken woh phir bhi pathr phenknay waloun k liye dua hi kertay hain. To maloom yeh hua k khush naseebi jo hai woh asani say nahi payi jasakti, uske liye Khuda ki khush-noodi aur mehnat ka bara amal dakhal hai.

To baat ka ikhtatam kuch youn kertay hain keh, Khush naseeb insan woh hota hai jo apnay haal say khush ho, apnay halaat say khush ho, apni batoun say khush ho apnay khayalat say khush ho, aur sub say bher ker apni hayaat say khush ho.

Thursday, January 11, 2007

from a movie...

Mann meri nahi manta, mai mann ki nahi manti.
Ja re jhootey, viswaas kia tujh pe.

Pata nahi kion likha hai yeh yahan laiken obviously isliye likha k pasand aaya :D