Saturday, January 13, 2007

Khush Kismet.

Jee to aaj ka mo'zo hum khush kismati rekhtay hain. Yehan yeh batana lazim hai k aaj kal mai aik kitaab ka muta'la ker reha hun, jo kay Wasif Ali Wasif nai Dil darya samandar k naam say likhi hai, Khush kismati usi kitaab say lia gaya aik mo'zo hai.

Likhnay say pehlay mujhey kuch khayal aaya k aaj kal buht say log mujhsey sawal kertay hain k tum kion likhtay ho? Hum likhien to aakhir kia likhien?, kiske liye likhien?, kion-ker likhien. To mai yehi kehunga k likhna to insani jazbay ka izhaar hai. Dunya mai aisa koi shaks nahi jiski koi ra'ye na ho aur jahan per ra'ye hoti hai wahien per ikhtalaf-e-ra'ye bhi janam leta hai. To insani shaksiyat ki taraqi k liye yeh lazim amer hai k uski apni ra'ye ka aik muqaam ho, uski pukhtagi qay'em ki jaye, aur koi bhi ra'ye ki pukhtagi tab tek nahi jaanchi jasakti jab tek uska taqabli jaiza uski ikhtilaf-e-ra'ye say na kerlia jaye. Jahan tek mai samajhta hun, usko jan'nay kay liye expression zarori hai, apni ra'ye ka izhar, apni soch apnay khayalat ko bayan kernay k baad hi aap uska taqabli jaiza kernay ki salahiat pa saktay hain. Apnay ander ki awaz ko dabana sareehan ghalt hai, kion k awaz to aik fitri jazba hai, har terf awaz hi to hai, hum rahat-e sakoo'n k liye subha subha chehal qadmi ko niklien to chiryou'n ki chircharahat bhi to aik awaz hai, pani k kinaray bethay dobtay sooraj ka nazara kerien to lehroun ki awaz hamie sakoon deti hai, hamie koi apna pukarey to woh bhi aik awaz hai, awaz chahay dil ki ho ya zubaan ki, usko roka nahi jasakta. Awaz ka rishta hamaray saath hameesha say jurra hai, jaise k hamari soch.

To baat horehi thi k aakhir khush kismat kon? Hamaray zamanay mai, khaas kar aaj kal k dur mai bari afsurdagi kay saath yeh kehna perta hai k log us shaks ko khush kismat jantay hain jo dunya'wi haisiat mai unsay bartar hai. Hum kehtay hain k flaa'n shaks ko dekho, uske pass gari hai, achi naukri hai, khoobsorat biwi hai, banglay jaisa gher hai, -dekho kitna khush naseeb shaks hai !, jabkay Wasif ali wasif nai apni kitaab mai buht hi khobsorat baat ki, keh Khush kismat to woh hai jo apni kismet per khush ho, hum ager aaj in fani chezoun ki haisiat ko aik lamhay k liye bhool jayien to khush kismati ka raaz samajh mai aasakta hai. Jo kuch bhi kismet mai ho, usper khush rehna hi subsay bari khush kismati hai. Aur haan khush kismati aam tor per sirf kuch logou k liye bayan ki jati hai, to yakeen janiye khush kismati ka yeh falsafa bhi kuch hi log jaan patay hain. Khush kismati kabhi mehnat k beghair haasil nahi hoti jaisa k aksar socha jata hai. Uske liye marahil say guzarna parta hai, kabhi to aapko apnay nafs say jang kerna parti hai to kabhi rizq-e-halal k liye zamanay say. To yahan justujoo aur mehnat ki ehmiat ka ehsas hota hai .

Hamaray liye paighambaro'n (Prophets) say ziada to koi khush kismet nahi. To ager kareeb say dekha jaye to koi bhi aisa paighambar nahi jiski zindagi asaani say kati ho. Aik Allah k banday nai apnay betay ko khud dobtay huwey dekha, aur Allah say il'tija ki keh Ya merey Maula, merey betay ko bacha lai, to jawab aaya k jo beta teray aqeeday ko sahi nahi janchta, usko doob janay day. Aik paighambar ko saleeb (cross) per charha dia jata hai aur hamarey subsey mehboob shakseeyat Hazoor (S.A.W) per pathroun ki barish ki jati hai laiken woh phir bhi pathr phenknay waloun k liye dua hi kertay hain. To maloom yeh hua k khush naseebi jo hai woh asani say nahi payi jasakti, uske liye Khuda ki khush-noodi aur mehnat ka bara amal dakhal hai.

To baat ka ikhtatam kuch youn kertay hain keh, Khush naseeb insan woh hota hai jo apnay haal say khush ho, apnay halaat say khush ho, apni batoun say khush ho apnay khayalat say khush ho, aur sub say bher ker apni hayaat say khush ho.

14 Comments:

Anonymous Anonymous said...

wow!!!

Yeh.. apney.. kuch bohot achi baatein likhein jin sey nice soch aur samajh ai... morals hein ap kai post mein..

Aur haan.. Apney halat, apney khiyalat sey agar hum khoosh hein.. tu hum ko realise and appreciate karna chahiyeh.. kai humarey paas tools subhee hein jin sei.. zindagi guzarna asaan ho jaye..beshak... wo lambhee se gharee na ho.. ya bhara sa ghur na ho.. Apnee apnee khuwaish ki baat hai.. kuch logoun ki tamana ki hadh nehi hotey.. aur wo bhee chund log hein.. jo bhee rizk un hai paas atah hai.. wo alhumdulilah keh kur zindagi basr kartey hein.. aur sochtey hein. .kai Allah ta allah ka shukr hai.. chuth hai humarey sur pur.. roti miltee hei khaney ko.. kuch logoun ko yeh bhee naseeb nehi.. hum kush kismet hein..

rehee baat.. expression ki.. i think.. some people are good at expressing their views.. and some people.. dont want to.. ur right.. some ppl dont see the point in writing if all is lost.. but i think ur right in what you said.. It is vital and healthy for us to express our views and thoughts.


I enjoyed reading this post.. very welldone!

Sat Jan 13, 06:39:00 am GMT+3  
Blogger Mariam said...

Very nice post, thank you! You should be on radio :)

For the sole purpose of splitting hairs, kounse paighambar ko sooli pe charha dia gaya tha? :O

Mon Jan 15, 03:20:00 am GMT+3  
Blogger Tauqeer said...

-Black_rose: Thank you for your detailed comments, do visit again :).

-Mariam: Thank you very much for your visit and appreciation once again.Jahan tek baat radio ki hai to InshAllah I will, laiken kab dont know? and as what don't know but to be honest I had an offer in Bradford last year from new opening PakistanFM but again job role and timings were not sure and even my stay in Bradford was not for long so I decided not to pursue. Apne hosakta hai sirf hansi mai hiyeh baat ki ho laiken aisa hochuka hai and sachi baat yeh thi sari dunya ko beth ker songs sunana mai kuch behter nahi samjha:P woh aik collective gunah ban jana tha meray nazdeeq :D.
AND buht buht shukria aapki woh sooli wali baat mention kernay ka, coz true said even I am not awair of any prophet being hanged , but crusified, sooli per zaror charhaya gaya tha, jiske liye maine blog line mai changes kerdi hain.

Mon Jan 15, 04:48:00 am GMT+3  
Blogger Mariam said...

I was serious... you know how they have those early morning radio shows where a couple of people discuss everything & anything? I think you have the talent for that :)

I thought that the islamic belief is that not Hazrat Eisa, but his look-alike was crucified and Hazrat Eisa was raised to zee heavens :O (btw, are you referring to Hazrat Eisa?)

Mon Jan 15, 07:05:00 am GMT+3  
Blogger Mariam said...

Fine, don't reply, humph :P

Sun Jan 21, 12:42:00 am GMT+3  
Blogger Tauqeer said...

Yes, certainly i am referring to Hazrat Essa (A.S) here. Saleeb per charhna, muhawarat'en istimaal kia gaya hai yahan jaise k adbi istelah mai akser auqat kia jata hai.
Jahan tek Islami nazriye ki baat hai to meray ilm k mutabiq, jisko saleeb per charhaya gya tha woh Hazrat Essa hi thay, jisper zulm kia gya tha woh bhi Hazrat Essa hi thay, laiken jaan nikalnay say pehlay unki roh ko badal dia gaya tha.
Yahan per maksad unper honay walay zulm thay, unki mushkil zindagi thi, na keh saleeb per kon charha, mo'zo.
Umeed kerta houn k aapkay sawalo ka jawab day paya houn, ager koi ghalti kotahi hogyi ho to zaror pochiye ga, comments ka shukria :P !

Tue Jan 23, 02:51:00 am GMT+3  
Anonymous Anonymous said...

haye main mar jaun kitni bari bari ur samjhdari ki baten karne lag gaya hai bacha!!! hehe
any way well said!
in my opinion khushkismati ko hum define nahi kar sakte at times jisko hum khush kismat samajh rahe hote hain ander se uski feelings kya hain ye koi nahi janta bohat se ameer ur esh o ishrat me zindagi guzarne wale, dosrun ki nazar me khush kismat log raat ko so nahi sakte ur sleeping pills ka sahar lete hain besakoni me zindagi guzarte hain magar logon ki nazr me khush kismat hain.Is ke bar-aks kuch jhompari me rehne wale sara din mehnat kar ke rokh sokha kha ke bhi Allah ka shukar karte hain ur raat ko pursakoon neend soote hain I think unse barh ke khush kismat koi nahi

Tue Feb 06, 06:45:00 pm GMT+3  
Blogger Tauqeer said...

Bari bari batien:D Jiske aap jaise sub itnay achay dost houn, woh to aisi batien keray ga hi na? Aap sub ka buhat buhat shukria apnay khayalat ka izhaar kernay ka. Umeed kerta hun aainda bhi hum isterah say aik dosrey ko apni ray'e say aagah kertay rehiengye, tab tek keh liye, Allah Nigehbaan :D

Tue Feb 06, 11:52:00 pm GMT+3  
Anonymous Anonymous said...

Bahi aap to chupe rustam nikle

Sat Jan 17, 08:17:00 am GMT+3  
Blogger Tauqeer said...

Ji Razia buht shukria comment kernay ka, albata mai apko pehchaan nai saka :O

Sat Jan 17, 05:31:00 pm GMT+3  
Anonymous Anonymous said...

Pehchano ge kaise, firt time aap ka blog visit kya hai, aur comments pass kya tha.
I am Razia from pakistan.

Mon Jan 26, 09:47:00 am GMT+3  
Blogger Tauqeer said...

Ha Ha chalien ji shukria for the visit..

Mon Jan 26, 09:54:00 am GMT+3  
Blogger Azam jafri said...

Ma-sha Allah aapne bahut hi khoobsurat andaaz me ye bayan kar dia ki Dunia me khush kismat shks kaun hai....Subhan Allah
By Azam Jafri

Thu Jul 05, 12:20:00 pm GMT+3  
Blogger Tauqeer said...

@Azam Jafri, Jazak Allah khair, paseendeedgi aur apni raye likh bhejnay ka shukria.

Thu Jul 05, 12:38:00 pm GMT+3  

Post a Comment

<< Home