Mujhey yakeen hai kay aap sub bhi aisay kaifiyat say zaroor guzray houngay. Kabhi apne phone receive kia ho, unkown or withhold number say, aur aagay say kisi aunty ki awaz aaye, "pehchana kaun"?
I mean what's the point in it? why do people like to test each other? what if the other person doesn't pass your impulsive questionnaire?
Aisa he kuch aaj meray saath huwa. Aik unknown number say call, (which hints towards an international call), salam dua kay baad aunty nai pocha, pehchana kaun? ab yeh aik beshak mushkil sawal tha, kionkeh yakeen janiye keh mai phone per buhat kam baat kerta houn, aur woh bhi aunty?
Mai akser aise sawalo per 'inkaar' kerdia kerta houn, woh bhi jab andaza ho keh koi aunty hai:D albata aaj he pata nahi kion, maine thori si soch-o-bichar kay baad 'ghalt' jawab de dia. Wahan say aik halki see hansi ki awaz aayi aur keha keh "nahi mai woh* aunty houn, uski* ami".
Mujhey samajh nahi aati keh logo ko aisa kerke kia maza aata hai? mujhey kabhi samajh nahi aasaki. Khaas torr per jab aap kisi aise shaks ko call ker rehay houn jissey aapka buht kam rabta ho, usko aisi musibat mai dalnay ka kia faida? meray hisaab say to 2 hi batien hotsakti hain, ya to:
1. Apni 'worth' check kerna maqsood hota hai.
2. Dosray ko musibat mai dalna maqsad.
Anyhow, I just wanted to let my frustration out somehow :|