Monday, April 24, 2006

dhondoun to kahan , shaed k ab woh shaks, woh lamha woh haqeqat mere buss mai nahi, laiken ik ehsas zaror hai jo waqt-an fa-waqtan kuch yadoun ko, us guzray pal ko, us soch ko, us yaad ko phir samnay laa khara kerta hai, bhaagoun to kahan? haan phir wohi waqt, jo sub kuch sahi kerdeta hai , pareshanio ko dur, sochoun ko badal deta hai. uff where im headin with this now.....stressssss plz go away lol

scotland-2



















































Some beautiul pictures of East Whitburn, where I went in scotland.

Courtesy of : Mr Sher Ahmed

Tuesday, April 11, 2006

scotland...

ji to aik dafa phir jana hua wahien per, ji kahan? woh hmm

M8(A8), jnc 4,
West lothian
Scotland

haan kafi kareebi rishtey dar rehtay hain wahan per, pehlay bhi 1-2 dafa jana huwa, last time 'bari' eid per gaya tha and abhi woh baji ki 'wedding-party' thi , jiska sandies last week wed-thurs ko hi mila tha, so zara jaldi mai tayari kerna pari laiken alhamdullilah all was good and safe. Gaya to yehi soch ker tha k pata nahi kin kin logoun say milna parey and waise bhi sachi mai mujhey party-plan ka kuch khaas andaza nai tha, even k i was kind of undecided about clothes at the last moment (ok im so girlish now but im really bad at it) but khair woh to ker hi lia tha kuch, saturday ko tasali say gher se nikla, jaise k instructions thien;) took A65 straight to jn 36 of M6 heading towards Kendal in Lake district, buht hi khobsorat rasta hai , ajeeb baat hai k jab bradford say nikla to achi khasi dhoop thi, koi 10 mile k baad barf parney lag gyi:S toba hai , khair baat batanay ki yeh hia k haan ji i was lost again! i took off a junction before i was supposed to* ( as per usual circumstances) laiken mera MSN MAPS yehi keh reha tha k jnc 12 say utar jao and head towards A71, buss mai nikal para ..woh bi buht payara road tha...chota sa...hilly area...mind it im talkin about scotland here! and weather was nice as well laiken wohi hua i stress barhta gya k im on wrong way coz mujhey ab woh road nahi mil rehay thaye jo milna chahiyeh thaye.
So i headed towards a big town then..LANARK was its name..pehlay to kabhi nahi suna tha laiken socha shaed wahan say kuch andaza ho, wahan say ghomtey ghomtey phir M8 k sign nazr aaye, yeh road kafi der A8 bhi kehlati hai, and its a bridge between Edinburgh and Glasgow, two major cities of scotland and mujhey iske middle mai kahien jana tha, khair signs to nazr aagye laiken phir bhi socha k shaed mai local roads say hi puhnch jaon, so wahan aik petrol station per ruka, bahir nikla to aik decent sa shaks ATM say money laiker aareha tha..maine usi ko rok lia, aur kaha k mujhey wahan jana hai , im kinda lost, pehlay to ussey samajh na aayi, kuch meri nakis engraizi, kuch uska scottish accent, khair yehi tay hua k M8 ko jaya jaye, wahan say Edinburgh ki terf and then i should see signs on motorway only, kuch hi der mai S ka msg aagya k kahan hi abi tek aaye kio nahi coz kafi der pehlay mai kehchuka tha k its kjust 40 miles left aur woh 40 miles hi nahi khatam horehay thaye, kafi ghooom ghuma ker phir motorway per puhncha and aakhir kaar gher. wahan buss diner ready hi tha.. and they kinda was waitin for me..ab to bhool bhi gya k kia tha khnay mai laiken kafi nice tha:D ziada khaya nahi gya coz sir ghoom reha tha 4 hr drivin say.

Next day community hall mai party thi, pehlay jaaker sub decorate kia..i was the baloon guy:S made bunchs and tied to all the tables and stuff khair acha tha sub, aik aunty milien. kehti hain pata hai mai kon houn..mai kaha ji abhi buss kisi nay bataya aap woh hain..kehti hain nahi mai tumhari ami ki class fellow hua kerti thi and uski saheli bhi..buht pakki! dil mai socha k kiti paki saheeli thi jo ami nay aaj tek zikr nahi kia..laiken khair nvm

Phir gher aajer uncle say discussion hui k mujhey wapis kab jana hai, majbori batayi to kehnay lagey tuesday subha nikal jana job tek time aram say gher puhnch jao gye. maine tab to sir hila dia laiken baad mai khyal aya k hain ji ..3-4 hrs drive then job na baba na, so aaj subha monday ko plan ban gya sub bachoun ka Glasgow Science Centre dekhnay ka, socha k acha moka hai glasgow ghomnay ka, S ko bhi uni jana tha, socha chaltey hain, pehlay museum gaye, mai and S jaldi aagye coz usko uni jana tha..Glasgow uni dekhi kisi had tek..kafi filmi style uni hai..cooooool lol buss phir baqi kuch khaas nahi..wapis aakhaer khana wana and salam dua and ijazat and nikal para:)