in dino
ab is sey ziada kia hosakta hai, EXAMS!! woh bhi itnay mushkil ::( shaed k meri university life k last exams and hameesha ki terah wohi stress laiken i want better results than hamesha!! aur to aur computer ka monitor urr gya kal ab woh bhi masla ooper say car ki MOT bhi expire hai woh bhi masla, gher ki keys bhi gum hogyi hain aik dafa phir mr F ki mehrbani say!! and job bhi gyi coz mujhey time chhaiyeh tha exams k liye and 2 week say ziada woh off day nahi rehay thaye so, khair iska to baad mai dekha jaye ga abhi digital communications 3 din say perh rehay hain,
uff uff uff BPSK QPSK M-ary QAM aur pata nahi kia kia, BER SER aur bhi itna kuch nikalna hai in sub k liye , itnay sub tutorial k questions to mujhse attempt bhi nahi horehay pata nahi exam kaise hoga:( last semester mai to phir bhi andaza tha k exam paper kaisa hoga, is dafa 2 modules new hain bilkul so last yr papers are not that helpful aur uske baad abhi PGDip report bhi to deni hai jo start nahi ki abhi tek :'(
dekhtay hain kia hota hai :)

5 Comments:
Kehna to nahin chahiyay, magar kisi aur ko bhi apni tarah pareshan haal dekh ker tasalli hui :D Good luck on the exams! Saunf badaam khayain aur paarhain. Hope all your problems are solved soon!
Exams,,,,me also buzzi in exams,,,teen hoo gaye ,,two left,,,
Good luck to ur exam,,,and pareshanian,,,
mushkilain mujh per peri itni ke asan hoo gaye,," ,,ap per bhee kafee hain shayed asan he hoo jayein :-)
bus problem ko approach kero,, don't avoid it ,,this is psychologiacal aspects of problem,,,,
lol avoid no chance! no way out:'( anyway thanks for ur comments and ofcourse tryin to study these days, baqi saunf badaam wala silsila to nahi hai koi khaas albata mariam ji kabhi inkay fawa'ed per roshni dalien to is mashq per bhi amal kia jasakta hai ( apki aisi batoun say mujhey ama yaad aagyien LOL )
taa
Koi hakeemi fawaid to nahin pata, albatta azmaish shart hai :D
yani k ab shartien bhi houngi*-)
Post a Comment
<< Home