Tuesday, January 31, 2006

15 park avenue...

abhi kuch der pehlay maine aik movie dekhi, u dont get to see this kinda stuff everyday. Such a strange phenomenon writer wanted to potray, aik larki ki kahani thi, the so called illusionist, pata nahi kuch specific name tha uski bimari ka jo woh lay rehay thaye, but well it was quite touching.

kabhi kabhi muhjey lagta hai k mujhey buht kuch kerna hai buht kuch kehna hai buht si aise batien hain jo mai soch ker bhool gya hun ya keh nahi paya ya pata sirf is waja say k shaed log kia kahiengye, jaise k mai pehlay aik post mai kehchuka hun k mai school mai yeh socha kerta tha shaed koi khuda ho hi na, shaed yeh kisi genius banday nay hi idea develop kia ho, so sub log kisi aise cheez say darien jo unhoun nay kabhi dekhi hi na ho so woh kabhi koi bura kaam na kerien but well who was i suppose to tell all this? discuss these ideas that time? sometimes i really miss my dad, kaash k woh abhi meray paas hotey and u would have discussed so many things, and well phone per to am not a good conversationalist at all and na hi meray aba ji ziada baat kertay hain and jab hum gher per hotey thay to so many other pressures, behnay kia sochiengi ager maine koi ulti baat ki, dad ka mind bhi kabhi free nahi hota k woh koi aur baat sun sakien khair its a long story, aaj jo baat mujhey kerni hai woh is movie k barey mai hai and meri ik aur soch k barey mai jo k shaed maine apni bari sis say bhi aik dafa ki thi, u seems to take bit of interest in what i had to say or think laiken i never got encouraging support in this matter tho,

Anyway, i used to think, think kehlo ya mera idea tha, it was early school days, we used to have wall charts in our classrooms, full of colours and shapes and all dat. So buss aik din maine yehi socha k yeh jo red apple mai dekh reha hun, kia yeh apple hi hai ya kuch aur shape hai ? kia iska colour red hai ya kuch aur hai ? mai isko red kehta hun just coz mujhey bataya gaya hai k yeh red hai ? kia jaisa mujhey yeh dikhta hai ,,dosroun k liye bhi aisa hi hai ? meri teacher ko bhi red hi nazar aata hoga? ya uske demagh mai red colour kuch aur jaisa hoga? ya phir woh shaed us colour ko kuch aur hi kehti ho laiken meray kaan usko hameesha red suntay houn?? wiered haina? i know it is, thats why never spoke about it.

And its interesting that other people think something on similar lines as well, jaisa k is movie mai woh larki thi, jisko in common terms log bimar kehsaktey hain coz woh khud say batien kerti thi, usko aik aise gher ki talash thi jiska address hi exist nahi kerta tha, pehlay to doctor nay aik logical reasoning paish ki, k jo kuch woh kerti hai kehti hai uska reason uski past life hai , aik jaga per usne us larki ki bari sis say yeh sawal kia: Kay woh dekho table, aur batao usper kia para hai ? Usne kaha flower vass hai and kuch phool hain usme, to dr kehnay laga what if i say k woh vass nahi table lamp hai, to kehti hai k i wont believe it, to usne keha k what if everybody in this room says its a lamp instead of you, ....

Anyway i dont wana conclude anything over here, it is something we dont wana talk about, and even if we do, we aint gona go far with it, i just know that. Hua kia end per ? woh usi jaga gyi jahan woh samajhti thi k uska gher hai , logoun ki nazroun say kuch dur gyi, usko woh gher nazar aaya, uske bachay nazar aaye and woh wahan chali gyi, jab baqi sub ko khyal aaya k shez missing to usey dhondhnay lagay, laiken ofcourse woh gher unki hisaab say kabhi exist hi nahi kerta tha so they never found her.

To matlab kia hua iska? jo hamie nazar aata hai woh hosakta hai kisi aur ko na aata ho? aur jo kisi ko nazar aata hai hosakta hai woh hamie na aata ho? yeh bhi kehsaktay hain k har kisi ka apna perspective hota hai zindagi mai har cheez ko define kernay ka, khair im getting into deeps now, better leave it for someother time:)

2 Comments:

Blogger Abhi said...

Bada accha analysis kiya hai aapne iss movie ka tauqeer bhai.I just watched it and it was a briliantly moving and thought provoking work.

Wed Feb 01, 03:29:00 am GMT+3  
Blogger Tauqeer said...

thanks:)

Fri Feb 03, 01:11:00 am GMT+3  

Post a Comment

<< Home