Friday, February 03, 2006

Raja Gidh-1

Yaar yeh bhi kia story hai? Roz perhnay bhi beth jata hun aur buht jald thak bhi jata hun, aaj socha tha k kal uni nahi hia siliye aram say perhunga laike abhi 30 pages hi perhay hai phirse and buss aik dum mind blank:| kuch samajh nahi aareha

Ab khudhi socho, mai 131 pages perh chuka hun aur mujhey sahi say characters k naam bhi yaad nahi? shaed k woh itnay important hain bhi nahi shaed...

Writer kehna kia chahti hai? Chalo first person ko Mr X kehletay hain, student hain janab, sociology kay, class fellow thein Seemi Shah and Aftab but, yeh aftab Mr X k room mate bhi rehchukey hain, ager sada lafzoun mai lia jaye to wohi old kahan hai, aftab ko seemi say payar hojata hai, aftab k gher waley nahi mantay, woh studies chor ker shadi kerleta hai apni cousin say and interesting yeh k Mr X ko seemi say muhabbat hai laiken woh kabhi keh nahi saka.

Ab uski koshish hai k seemi k paas hojaye woh kisi na kisi terah, seemi ko bhi saharay ki zarorat hai laiken woh aftab k payar mai itni pagal hai k usko aur kuch dekhayi hi nahi deta aur yehi cheez usko X k kareeb lay aayi go k woh janti thi k yeh Aftab ka room mate reha hai.

Ab chakr yeh hai k Mr X jo k shuru mai buht hero bantay thaye yani k class mai ethics or social responsibilities ki batien kertay thaye, yahan aaker sub kaam kharab. Woh janta hai k woh jo ker reha hai woh ghalt hai, woh us larki ki emotional codition ka faida utha reha hai , laiken at the end of day batanay ki koshish yehi ki gyi hai shaed k muhabbat mai buht taaqat hoti hai aur usko panay k liye insan kisi kaidey kanoon ka paband nahi hota. Ab jahan aaker mai bore huwa hun woh yehi hai k woh har time uske khayaloun mai khoya rehta hai, usne usko physicaly to pa lia hai laiken woh janta hai k woh seemi usko kabhi muhabbat nahi kersakti , woh aik aisi larki hai jo zidagi mai sirf aik dafa payar kerti hai and shaed k jo apnay gham ko chupanay k liye apne aap ko zaleel or ruswa kerna chahti hai, isliye raat bher iske saath bagh-e-jinah mai guzarti hai...jo bhi hai

X is just so stupid, aisa thori na hota hai, ager usko seemi ko pana hi tha, window of oppurtunity ka to har kisi ko intezar hota hai, to proper way say pata....laiken baat wahien aajati hai k proper kia hai aur kia nahi ? alag behs hai yeh sub to, baat thi muhabbat ki so abhi yeh gardish chal rehi hai, dono apni zindagi ko aagay bherhana chah rehay hain, jobs k liye shaed apply kerdia hai, laiken seemi ki har baat Aftab per aaker rukti hai and baqool uske haan naam yaad aagya: Mr Qayumm!, k ab uske under ka qayum mar chuka hai, isliye woh jab seemi k saath hota hai to apnay aapko aftab khyal kerta hai, coz shaed seemi bhi yehi chahti hai aur is terah qayum ki khawahish bhi poori hoti hai .

Insan kitna behiss hota hai, kitna selfish, apni ana ko apni haqeqat ko apni khawahishoun k tabay kernay ki koshish mai juta rehta hai, aur yeh hota hai maine dekha hai. log badal jatay hain, ya to apnay ird gird logoun ko khush kernay ki khatir ya phir koi waqti faida hasil kernay ki khaatirm khair probably just a story:) aik aur buht interesting baat jo Aftab nay kahi thi woh yeh thi k insan k paas zindagi mai buht say rastay hotey hain;

yeh uski marzi hai k woh konsa bhi rasta chunay, rasta apni marzi ka ho ya na ho, usme khushion aur ghamoun ka tarazo hameesha braber rehta hai ( shaed woh yahan KISMET ko refer ker reha tha ), aur seemi ko chorney ki reason bhi yehi thi k aaj yeh samajhta tha k aajki uski khushi kisi aur k gham ka baa'es ban rehi hai ( uski maa ), aur shaed ko unko bhi gham miliengye jo us khushi ko khatam kerdiengye isliye koi extra justujo kernay ki zarorat hi nahi, jo jaisa hota hai hono do..interesting:P

aur yeh bi baat thi k insaan jo bhi faislay kerta hai woh uski personality per dependent hotey hain, aik aise kirdaar per jo k aik khaas mahool mai pala bara hota hai aur uski soch aur uske faisle us mahool ka nateeja hotey hain, isliye unko koi badal nahi sakta...laiken uski batien kafi ambigious thien k jaise faisley life mai koi ehmiyat hi na rekhtay houn?

chalo kher aagay dekhtay hain kia hota , laiken frankly speaking qayumm ka seemi say obsession ab interesting hargiz bhi nahi reha, hope k aagay kuch aur bhi perhnay ko milay ga :)

3 Comments:

Blogger Anaa said...

last time when i m here i commented on this post but it got vanished,,,,i read raja gidh one year back on internet.,,this book is book ,,but at the same time it is weird also,,,
raja gidh ke kahani aise logo ki kahani hai jin ki hawas lamehdood hai,,yahan tak ke yeh log m,urdar ko bhee nahi chortey apni taskeen ke liye"
but bro,,keep on reading

Thu Feb 09, 03:19:00 pm GMT+3  
Blogger Tauqeer said...

im almost done with the book now, it is interesting, some very natural instincts of human soul have been exploited for the sake of story writting and dramatic sense but again surely it does provide a very deep insight about the man of age and society we have to confront with these days. Need to grasp the deep idea of the whole story rather than focussing on individual topics of the story and well im not gona write another blog about it as we all have read it ?:P

Thu Feb 16, 11:27:00 pm GMT+3  
Blogger ~blackhole~ said...

i just finished reading it and i m all shaked up inside...yeh novel maine koi 2 saal pehle bhi parhne ki koshish ki thi but i cudnt finsih...par abb i think acha hoya if i had read it that time i wud han never actually understand it...
its not abt hawas...its abt that ''majzoob-ness'' u hav when u search fer unreachable
i hav cried reading it...i hav been frustrated....sumtimes i wish i hadnt read it all....i cant digest it all...

Mon Jul 28, 12:47:00 pm GMT+3  

Post a Comment

<< Home